Yunus Tahseen

dil ki diwana tabiat ko musibat na bana

Yunus Tahseen

1984
dil kī dīvāna tabī.at ko musībat na banā
tujh se yārāna hai yārāna mohabbat na banā
maiñ tujhe dil kī sunātā huuñ mujhe tū dil kī
is suhūlat ko mirī jaan aziyyat na banā
ham ko le de ke ta.alluq hī bachā hai terā
is ko mashkūk na kar bā.is-e-tohmat na banā
ek dīvār ne rishtoñ kā taqaddus toḌā
bhaa.ī rokā thā tujhe ghar meñ ye la.anat na banā
niiñd ko taaq pe dhar aur diyā pahlū meñ
girya-e-āḳhir-e-shab meñ koī diqqat na banā
beTiyāñ rizq meñ barakat kā sabab hotī haiñ
ghar kī rahmat ko ġhalat soch se zahmat na banā
aks kā honā hai mashrūt tire hone se
ḳhud ko pahchān magar aks ko hairat na banā
hū-ba-hū us kī adāoñ kī adā lāzim hai
yaar kī sunnat-e-mas.ūd ko bid.at na banā
iḳhtilāfāt haiñ insān kā ḳhāsa 'tahsīn'
bahs karnī hai to kar bahs ko nafrat na banā
Top Urdushayar.com