Wali Mohammad Wali

taKHt jis be-KHanaman ka dast-e-virani hua

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
taḳht jis be-ḳhānamāñ kā dast-e-vīrānī huā
sar upar us ke bagūlā tāj-e-sultānī huā
kyuuñ na saafī us kuuñ hāsil ho jo misl-e-ārsī
apne jauhar kī hayā suuñ sar-ba-sar paanī huā
zindagī hai jis kuuñ daa.im ālam-e-bāqī munīñ
jalva-gar kab us añge yū ālam-e-fānī huā
bekasī ke haal meñ yak aan maiñ tanhā nahīñ
ġham tirā siine meñ mere hamdam-e-jānī huā
ai 'valī' ġhairat suuñ sūraj kyuuñ jale na.iiñ rāt-din
jag munīñ vo maah rashk-e-māh-e-kan.ānī huā
Top Urdushayar.com