Yunus Tahseen

hurmat-e-ishq tujhe dagh lagane ka nahin

Yunus Tahseen

1984
hurmat-e-ishq tujhe daaġh lagāne kā nahīñ
baat bantī na bane baat se jaane kā nahīñ
yā-ḳhudā ḳhair ki ham donoñ anā vaale haiñ
vo bulāne kā nahīñ aur maiñ jaane kā nahīñ
vahshatī huuñ so garebān ko aa saktā huuñ
mujh se Darne kā magar mujh ko Darāne kā nahīñ
būḌhe a.asāb kahāñ sahte haiñ aulād kā dukh
merī taklīf mirī maañ ko batāne kā nahīñ
ham to ik aisī zamīñ par haiñ jahāñ lāsheñ haiñ
tum ne jo naqsha diyā thā vo ḳhazāne kā nahīñ
maiñ azal tā-ba-abad aur abad tā-dā.im
is kā matlab maiñ kisī ek zamāne kā nahīñ
dars ye ḳhaas hameñ āl-e-payambar se milā
sar kaTāne kā magar sar ko jhukāne kā nahīñ
maiñ abū-bakr-o-alī vaalā huuñ 'yūnus-tahsīn'
mujh ko mullā ke masālik se milāne kā nahīñ
Top Urdushayar.com