tanhā.iyoñ ke dasht meñ bhāge jo raat bhar
vo din ko ḳhaak jāgegā jaage jo raat bhar
fikr-e-ma.āsh ne unheñ qissa banā diyā
sajtī thiiñ apnī mahfileñ aage jo raat bhar
vo din kī raushnī meñ pareshān ho gayā
suljhā rahā thā baḳht ke dhāge jo raat bhar
kyā kyā na pyaas jaage mire dil ke dasht meñ
hasrat bhī ek aag hai laage jo raat bhar
dasht-e-ġhazal meñ jaane kahāñ tak chale ga.e
sū-e-ġhazāl qāfiya bhāge jo raat bhar