Ata Turab

numu-pazir hun har dam ki mujh mein dam hai abhi

Ata Turab

1977

numū-pazīr huuñ har dam ki mujh meñ dam hai abhī

mirā maqām hai jo bhī vo mujh se kam hai abhī

tarāsh aur bhī apne tasavvur-e-rab ko

tire ḳhudā se to behtar mirā sanam hai abhī

nahīñ hai ġhair tasbīh koī imkāñ

mire laboñ pe to zikr-e-manam manam hai abhī

'turāb' par kahāñ hotā hai ye ḳhudā ḳhalā

mire vajūd ke andar kahīñ adam hai abhī

Top Urdushayar.com