raat vahshat se gurezāñ thā maiñ aahū kī tarah
paañv paḌtī rahī zanjīr bhī ghuñgrū kī tarah
ab tire lauT ke aane kī koī aas nahīñ
tū judā mujh se huā aañkh se aañsū kī tarah
ab hameñ apnī jihālat pe hañsī aatī hai
ham kabhī ḳhud ko samajhte the arastū kī tarah
haañ tujhe bhī to mayassar nahīñ tujh sā koī
hai tirā arsh bhī vīrāñ mire pahlū kī tarah
naaz o andāz meñ shā.ista sā vo husn-e-nafīs
hū-ba-hū jān-e-ġhazal hai mirī urdu kī tarah