Meer Ziauddin Zia

dil-ruba hai mera baDa gustaKH

Meer Ziauddin Zia

-1781
dil-rubā hai mirā baḌā gustāḳh
maiñ ne itnā na samjhā thā gustāḳh
ab to vo shoḳhiyāñ lagā karne
yak-ba-yak aisā ho gayā gustāḳh
naaz bejā kabhī na kartā thā
kyā raqīboñ ne kar diyā gustāḳh
jāñ-fishānī ham us pe karte haiñ
raam hargiz na vo huā gustāḳh
ai 'ziyā' kījiyo samajh ke kalām
vo sanam to hai bevafā gustāḳh
Top Urdushayar.com