Ambar Bahraichi

jagmagati raushni ke par kya tha dekhte

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

jagmagātī raushnī ke paar kyā thā dekhte
dhuul kā tūfāñ añdhere bo rahā thā dekhte
sabz Tahnī par magan thī fāḳhta gaatī huī
ek shakra paas hī baiThā huā thā dekhte
ham añdhere Tāpuoñ meñ zindagī karte rahe
chāñdnī ke des meñ kyā ho rahā thā dekhte
jaan dene kā hunar har shaḳhs ko aatā nahīñ
sohnī ke haath meñ kachchā ghaḌā thā dekhte
zehn meñ bastī rahī har baar huuhī kī kalī
bair ke jañgal se ham ko kyā milā thā dekhte
aam ke peḌoñ ke saare phal sunahre ho ga.e
is baras bhī rāsta kyuuñ ro rahā thā dekhte
us ke hoñToñ ke tabassum pe the sab chauñke hue
us kī āñkhoñ kā samundar kyā huā thā dekhte
raat ujle pairahan vaale the ḳhvāboñ meñ magan
dūdhiyā pūnam ko kis ne Das liyā thā dekhte
biich meñ dhuñdle manāzir the agarche saf-ba-saf
phir bhī 'amabar' hāshiya to hañs rahā thā dekhte
Top Urdushayar.com