Ambar Bahraichi

gulab tha na kanwal phir badan wo kaisa tha

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

gulāb thā na kañval phir badan vo kaisā thā
ki jis kā lams bahāroñ meñ rañg bhartā thā
jahāñ pe sāda-dilī ke makīñ the kuchh paikar
vo jhoñpaḌā thā magar pur-shikoh kitnā thā
mashām-e-jāñ se guzartī rahī hai taaza havā
tirā ḳhayāl khule āsamān jaisā thā
usī ke haath meñ tamġhe haiñ kal jo maidāñ meñ
hamārī chhāñv meñ apnā bachāo kartā thā
ye sach hai rañg badaltā thā vo har ik lamha
magar vahī to bahut kāmyāb chehrā thā
har ik nadī se kaḌī pyaas le ke vo guzrā
ye aur baat ki vo ḳhud bhī ek dariyā thā
vo ek jast meñ nazroñ se duur thā 'amabar'
ḳhalā meñ sirf sunahrā ġhubār phailā thā
Top Urdushayar.com