gardish kā ik lamha yuuñ bebāk huā
sone chāñdī kā har manzar ḳhaak huā
nahr kināre ek samundar pyāsā hai
Dhalte hue sūraj kā siina chaak huā
ik shaffāf tabī.at vaalā sahrā.ī
shahr meñ rah kar kis darja chālāk huā
shab ujlī dastāreñ kyā sar-garm huiiñ
bhor samay saarā manzar namnāk huā
vo to ujāloñ jaisā thā us kī ḳhātir
aane vaalā har lamha saffāk huā
ḳhāl-o-ḳhad manzar paikar aur gul buuTe
ḳhuub hue mere hāthoñ meñ chaak huā
ik tālāb kī lahroñ se laḌte laḌte
vo bhī kaale dariyā kā pairāk huā
mausam ne karvaT lī kyā āñdhī aa.ī
ab ke to kohsār ḳhas-o-ḳhāshāk huā
bātin kī saarī lahreñ thiiñ joban par
us ke aariz kā til bhī bebāk huā
chand suhāne manzar kuchh kaḌvī yādeñ
āḳhir 'amabar' kā bhī qissa paak huā