har taraf us ke sunahre lafz haiñ phaile hue
aur ham kājal kī ik tahrīr meñ Duube hue
chāñdnī ke shahr meñ hamrāh thā vo bhī magar
duur tak ḳhāmoshiyoñ ke saaz the bajte hue
hañs rahā thā vo harī rut kī suhānī chhāñv meñ
daf.atan har ik shajar ke pairahan maile hue
aaj ik ma.asūm bachchī kī zabāñ khīñchī ga.ī
merī bastī meñ andhere aur bhī gahre hue
har galī meñ thiiñ siyah parchhā.iyoñ kī yūrisheñ
shab ka.ī gūñge malak har chhat pe the baiThe hue
sab adā.eñ vaqt kī vo jāntā hai is liye
TaaT ke nīche sunahrā taaj hai rakkhe hue
soup ke daane kabūtar chug rahā thā aur vo
sehn ko mahkā rahī thī sunnateñ paḌhte hue
raat 'amabar' kahkashāñ se duub ye kahne lagī
chhāñv meñ merī hazāroñ chāñd haiñ so.e hue