Ambar Bahraichi

aaj phir dhup ki shiddat ne baDa kaam kiya

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

aaj phir dhuup kī shiddat ne baḌā kaam kiyā
ham ne is dasht ko lamhoñ meñ kañval-fām kiyā
mere hujre ko bhī tash.hīr milī us ke sabab
aur āñdhī ne bhī is baar bahut naam kiyā
roz ham jaltī huī ret pe chalte hī na the
ham ne saa.e meñ khajūroñ ke bhī ārām kiyā
dil kī bāñhoñ meñ sajāte rahe aahoñ kī dhanak
zehn ko ham ne rah-e-ishq meñ gum-nām kiyā
shahr meñ rah ke ye jañgal kī adā bhuul ga.e
ham ne in shoḳh ġhazāloñ ko abas raam kiyā
apne pairoñ meñ bhī bijlī kī adā.eñ thiiñ magar
dekh kar tūr-e-jahāñ ḳhud ko subuk-gām kiyā
shāh-rāhoñ pe hamīñ to nahīñ maslūb hue
qatl-e-mahtāb ne ḳhud ko bhī lab-e-bām kiyā
jaane kyā soch ke phir in ko rihā.ī de dī
ham ne ab ke bhī parindoñ ko tah-e-dām kiyā
ḳhatm ho gī ye kaḌī dhuup bhī 'amabar' dekho
ek kohsār ko mausam ne gul-andām kiyā
Top Urdushayar.com