maiñ apnī vus.atoñ ko us galī meñ bhuul jaatā huuñ
na jaane kaun se jaadū ke hāthoñ meñ khilaunā huuñ
safar ye pāniyoñ kā jab mujhe be-āb kartā hai
maiñ dariyā kī rupahlī ret ko bistar banātā huuñ
savāloñ ke ka.ī patthar uThā.e log baiThe haiñ
maiñ apnā nanhā bachcha qabr meñ dafnā ke lauTā huuñ
na jaane kis fazā meñ kho gayā vo dūdhiyā āñchal
ki jis ke faiz se maiñ kitnī ā.ankhoñ kā ujālā huuñ
vo sūraj mere chāroñ samt hai phailā huā lekin
maiñ akasr ajnabī dhundlāhaToñ meñ Duub jaatā huuñ
lipaT jaatī hai merī uñgliyoñ se ḳhud shafaq aa kar
sahar kī samt jab maiñ apne hāthoñ ko baḌhātā huuñ
koī to hai ki jo mujh ko ujāle baḳhsh jaatā hai
ba-zāhir maiñ kisī tārīk Taapu meñ akelā huuñ
mire siine meñ 'amabar' ik dhanak sī phail jaatī hai
maiñ apne āñ.suoñ kī chāñdnī meñ sher likhtā huuñ