shab ḳhvāb ke jazīroñ meñ hañs kar guzar ga.ī
āñkhoñ meñ vaqt-e-sub.h magar dhuul bhar ga.ī
pichhlī rutoñ meñ saare shajar bārvar to the
ab ke har ek shāḳh magar be-samar ga.ī
ham bhī baḌhe the vādi-e-iz.hār meñ magar
lahje ke intishār se āvāz mar ga.ī
tujh phuul ke hisār meñ ik lutf hai ajab
chhū kar jise havā-e-tarab-e-motabar ga.ī
dil meñ ajab sā tiir tarāzū hai in dinoñ
haañ ai nigāh-e-nāz batā tū kidhar ga.ī
maqsad salā-e-ām hai phir ehtiyāt kyuuñ
be-rañg rauzanoñ se jo ḳhushbū guzar ga.ī
us ke dayār meñ ka.ī mahtāb bhej kar
vādi-e-dil meñ ik amāvas Thahar ga.ī
ab ke qafas se duur rahī mausamī havā
āzād tā.eroñ ke paroñ ko katar ga.ī
āñdhī ne sirf mujh ko musaḳhḳhar nahīñ kiyā
ik dasht-e-be-dilī bhī mire naam kar ga.ī
phir chār-sū kasīf dhueñ phailne lage
phir shahr kī nigāh tere qasr par ga.ī
alfāz ke tilism se 'amabar' ko hai shaġhaf
us kī hayāt kaise bhalā be-hunar ga.ī