Ambar Bahraichi

gili miTTi hath mein le kar baiTha hun

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

giilī miTTī haath meñ le kar baiThā huuñ
zehn meñ ik dhuñdle paikar se uljhā huuñ
piis rahā hai dil ko ik vaznī patthar
duub ko bāñhoñ meñ bhar kar maiñ hañstā huuñ
tere hāthoñ ne mujh meñ sab rañg bhare
lekin har pal ye ehsās adhūrā huuñ
dhuup kabhī chamkegī is ummīd pe maiñ
barf ke dariyā meñ sadiyoñ se leTā huuñ
is jānib kab uude bādal ne dekhā
phir bhī maiñ tanhā sarsabz jazīra huuñ
merā karb mirī tanhā.ī kī zīnat
maiñ chehroñ ke jañgal kā sannāTā huuñ
ik dhundlī tasvīr abhī ā.ankhoñ meñ hai
is vaadī se duur bhalā kab rahtā huuñ
raat ufuq par kuchh saaye lahrā.e the
'amabar' ab tak aas lagā.e baiThā huuñ
Top Urdushayar.com