yaad karnā har ghaḌī us yaar kā
hai vazīfa mujh dil-e-bīmār kā
ārzū-e-chashma-e-kausar na.iiñ
tishna-lab huuñ sharbat-e-dīdār kā
āqibat kyā hovegā ma.alūm na.iiñ
dil huā hai mubtilā dildār kā
kyā kahe tārīf dil hai be-nazīr
harf harf us maḳhzan-e-asrār kā
gar huā hai tālib-e-āzādgī
band mat ho sub.ha o zunnār kā
masnad-e-gul manzil-e-shabnam huī
dekh rutba dīda-e-bedār kā
ai 'valī' honā sirījan par nisār
mudda.ā hai chashm-e-gauhar-bār kā