Ambar Bahraichi

wo lamha mujhko shashdar kar gaya tha

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

vo lamha mujh ko shashdar kar gayā thā
mire andar bhī laavā bhar gayā thā
hai donoñ samt vīrānī kā aalam
isī raste se vo lashkar gayā thā
guzārī thī bhañvar meñ us ne lekin
vo māñjhī sāhiloñ se Dar gayā thā
qalandar mutma.in thā jhoñpaḌe meñ
abas us ke liye mahzar gayā thā
na jaane kaisī aahaT thī fazā meñ
vo din Dhalte hī apne ghar gayā thā
abhī tak bām-o-dar haiñ phuul jaise
mire ghar bhī vo ḳhush-manzar gayā thā
sitāre bā-adab Thahre hue the
ḳhalā meñ ek ḳhush-paikar gayā thā
idhar āñkhoñ meñ merī dhuul Thahrī
udhar shabnam se manzar bhar gayā thā
magar tishna-labī Thahrī muqaddar
nadī ke paas bhī 'amabar' gayā thā
Top Urdushayar.com