Ambar Bahraichi

burida bazuon mein wo parind lala-bar tha

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

burīda bāzuoñ meñ vo parind lāla-bār thā
shikāriyoñ ke ġhol meñ ajiib intishār thā
hare phaloñ ko toḌtī huī havā guzar ga.ī
bujhī bujhī fazā meñ har daraḳht sogvār thā
safar kā āḳhirī paḌāv aa gayā thā aur maiñ
jo ham-safar bichhaḌ rahe the un pe ashk-bār thā
ga.e the ham bhī bahr kī tahoñ meñ jhūmte hue
har ek siip ke laboñ meñ sirf regzār thā
dhulī dhulī fazā meñ ho ga.ī abas vo justujū
ki manzar-e-nazar-navāz to pas-e-ġhubār thā
dam-e-sahar na jaane jaane kaun aa gayā use
ravāñ the ashk añkhḌiyoñ se haath meñ sitār thā
jo vaqt aa gayā tamām tiir TūTte ga.e
usī na.ī kamāñ pe to mujhe bhī e'tibār thā
baras rahī thī aag is dayār-e-sañg meñ magar
mire lahū meñ gul-fishāñ vo champa.ī azaar thā
ajiib thī sarisht bhī hamāre dhaan paan kī
kabhī to bahr-e-be-karāñ kabhī sarāb-zār thā
Top Urdushayar.com