ab qabīle kī rivāyat hai bikharne vaalī
har nazar ḳhud meñ koī shahr hai bharne vaalī
ḳhush-gumānī ye huī suukh gayā jab dariyā
ret se ab mirī kashtī hai ubharne vaalī
ḳhushbuoñ ke na.e jhoñke haiñ har ik dhaḌkan meñ
kaun sī rut hai mire dil meñ Thaharne vaalī
kuchh parinde haiñ magan mausamī parvāzoñ meñ
ek āñdhī hai par-o-bāl katarne vaalī
ham bhī ab siikh ga.e sabz pasīne kī zabāñ
sañg-zāroñ kī jabīneñ haiñ sañvarne vaalī
tez dhun par the sabhī raqs meñ kyuuñ kar sunte
chand lamhoñ meñ balā.eñ thiiñ utarne vaalī
bas usī vaqt ka.ī jvālā-mukhī phuuT paḌe
motiyoñ se mirī har naav thī bharne vaalī
Dhak liyā chāñd ke chehre ko siyah bādal ne
chāñdnī thī mire āñgan meñ utarne vaalī
daf.atan TuuT paḌe chand bagūle 'amabar'
ḳhushbueñ thiiñ mirī bastī se guzarne vaalī