mire chehre pe jo aañsū girā thā
na jaane kitne sho.aloñ meñ jalā thā
hamāre kaan bahre ho ga.e the
udhar vo dāstāñ-go hañs rahā thā
añdherī raat sannāTe kā aalam
nadī ke paar ik lapkā jagā thā
bahut āzār the raste meñ lekin
lahū meñ phūl-mausam hañs rahā thā
havā-e-garm yuuñ dil meñ chalī thī
mirī āñkhoñ meñ sāvan bas gayā thā
añdhere dasht se nikle ki dekhā
savā neze pe sūraj aa chukā thā
laboñ pe thī mire sub.h-e-tabassum
mire bātin meñ koī ro rahā thā
bahut din ba.ad khul kar mil rahe the
mire bachchoñ ko jaane kyā huā thā
bahut mushtāq thā shahr-e-ḳhamoshāñ
ki bastī meñ faqat 'amabar' bachā thā