Ambar Bahraichi

jalte hue jangal se guzarna tha hamein bhi

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

jalte hue jañgal se guzarnā thā hameñ bhī
phir barf ke sahrā meñ Thaharnā thā hameñ bhī
me.ār-navāzī meñ kahāñ us ko sukūñ thā
us shoḳh kī nazroñ se utarnā thā hameñ bhī
jaañ baḳhsh thā pal bhar ke liye lams kisī kā
phir karb ke dariyā meñ utarnā thā hameñ bhī
yāroñ kī nazar hī meñ na the pañkh hamāre
ḳhud apnī uḌānoñ ko katarnā thā hameñ bhī
vo shahad meñ Duubā huā lahja vo taḳhātub
iḳhlās ke vo rañg ki Darnā thā hameñ bhī
yaad aa.e jo qadroñ ke mahakte hue gulban
chāñdī ke hisāroñ se ubharnā thā hameñ bhī
sone ke hanDole meñ vo ḳhush-posh magan thā
mausam bhī suhānā thā sañvarnā thā hameñ bhī
har phuul pe us shaḳhs ko patthar the chalāne
ashkoñ se har ik barg ko bharnā thā hameñ bhī
us ko thā bahut naaz ḳhadd-o-ḳhāl pe 'amabar'
ik roz tah-e-ḳhāk bikharnā thā hameñ bhī
Top Urdushayar.com