Ambar Bahraichi

darwaza wa kar ke roz nikalta tha

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

darvāza vā kar ke roz nikaltā thā
sirf vahī apne ghar kā sarmāya thā
khaḌe hue the peḌ jaḌoñ se kaT kar bhī
tez havā kā jhoñkā aane vaalā thā
usī nadī meñ us ke bachche Duub ga.e
usī nadī kā paanī us kā piinā thā
sabz qabā.eñ roz luTātā thā lekin
ḳhud us ke tan par bosīda kapḌā thā
bāhar saare maidāñ jiit chukā thā vo
ghar lauTā to pal bhar meñ hī TuuTā thā
but kī qīmat aañk rahā thā vaise vo
mandir meñ to puujā karne aayā thā
chīḳh paḌīñ saarī dīvāreñ 'amabar'-jī
maiñ sab se chhup kar kamre meñ baiThā thā
Top Urdushayar.com