har lamha sairābī kī arzānī hai
miTTī ke kuuze meñ ThanDā paanī hai
chupke chupke rotā hai tanhā.ī meñ
vo jo shahr ke har mele kā baanī hai
nadī kināre shahr panāheñ bāloñ kī
sāvan kī bauchhāreñ haiñ tuġhyānī hai
bāhar dhuup samundar surḳh bagūle bhī
andar har ḳhuliye meñ rut barfānī hai
us ne har zarre ko tilism-ābād kiyā
haath hamāre lagī faqat hairānī hai
mere dasht ko shāyad us ne dekh liyā
dhuup shabnamī har-sū manzar dhānī hai
jaane kyā barsā thā raat charāġhoñ se
bhor samay sūraj bhī paanī paanī hai
us ne har lamha ḳhud ko yuuñ raam kiyā
har paikar meñ us kī rām-kahānī hai
kachchā ghar aatā hai yaad bahut 'amabar'
kahne ko shahroñ meñ har āsānī hai