sohbat-e-ġhair muuñ jaayā na karo
dard-mandāñ kuuñ kuḌhāyā na karo
haq-parastī kā agar daavā hai
be-gunāhāñ kuuñ satāyā na karo
apnī ḳhūbī ke agar tālib ho
apne tālib kuuñ jalāyā na karo
hai agar ḳhātir-e-ushshāq aziiz
ġhair kuuñ dars dikhāyā na karo
mujh ko turshī kā hai parhez sanam
chīn-e-abrū kuuñ dikhāyā na karo
dil kuuñ hotī hai sajan betābī
zulf kuuñ haath lagāyā na karo
nigah-e-talḳh suuñ apnī zālim
zahr kā jaam pilāyā na karo
ham kuuñ bardāsht nahīñ ġhusse kī
be-sabab ġhusse meñ aayā na karo
pāk-bāzāñ meñ hai mash.hūr 'valī'
us suuñ chehre kuuñ chhupāyā na karo