Ali Wijdan

pahle bhi kaun sath tha

Ali Wijdan

pahle bhī kaun saath thā
ab jo koī nahīñ rahā
vaqt sitam-zarīf thā
vaqt kā phir bhī kyā gila
kaisī ajiib shaam thī
kaisā ajiib vāqi.a
kahne ko kah rahe haiñ log
maiñ ne tujhe bhulā diyā
qissa ye hai ki maiñ tujhe
dil se kahāñ bhulā sakā
tark-e-ta.alluqāt kā
baaqī hai ek marhala
baaqī hai ab bhī zehn meñ
ḳhvāboñ kā ek silsila
ishq se nisbatoñ meñ hai
mere safar kā rāsta
shaam huī to chal paḌā
hijr-zadoñ kā qāfila
koh-kanī se rabt hai
nām-o-nasab kā zikr kyā
Top Urdushayar.com