Ali Wijdan

sawad-e-shauq-o-talab gham ka bab aisa tha

Ali Wijdan

savād-e-shauq-o-talab ġham kā baab aisā thā
jalā ke ḳhaak kiyā iztirāb aisā thā
bahut hī talḳh thā ya.anī sharāb aisā thā
savāl yaad nahīñ hai javāb aisā thā
tamāzatoñ ne ġham-e-hijr kī ujaaḌ diyā
badan thā phuul sā chehra kitāb aisā thā
maiñ kaañp kaañp gayā huuñ ba-nāme--sūd-o-ziyāñ
shumār-e-zaḳhm-e-hunar kā javāb aisā thā
sulag rahe the mire hoñT jal rahā thā badan
zabāñ se kuchh na kahā thā hijāb aisā thā
mirī talab hī banī mere paañv kī zanjīr
bhaTak rahā huuñ maiñ ab tak sarāb aisā thā
jhulas ke rah gayā chehra tamām ḳhvāboñ kā
ḳhumār-e-tishna-labī kā azaab aisā thā
vo ahd-e-gumrahī kahtā hai us kī marzī hai
jo dekh le tū taḌap jaa.e ḳhvāb aisā thā
bahut hī zo.am thā apnī mohabbatoñ pe use
nibhā sakā na vafā kāmyāb aisā thā
rafāqatoñ kā fusūñ TūTnā hī thā 'vijdān'
safar meñ chhoḌ gayā hai ḳharāb aisā thā
Top Urdushayar.com