ai nīsh-e-ishq tere ḳharīdār kyā hue
thī jin ke dam se raunaq-e-bāzār kyā hue
bol ai havā-e-shām vo bīmār kyā hue
monis tire rafīq tire yaar kyā hue
ai jurm-e-ishq tere gunahgār kyā hue
ai dost tere hijr ke bīmār kyā hue
rasm-e-vafā kā zikr to ab zikr rah gayā
vo paikar-e-vafā vo vafādār kyā hue
ai kam-shanās vaqt tujhe yaad tak nahīñ
vo zaḳhm-e-jān-o-dil ke talabgār kyā hue
kār-e-junūñ meñ jin ke hue aam tazkire
fasl-e-junūñ batā vo ḳhud-āzār kyā hue
josh-o-nadīm-o-faiz bhī baiThe haiñ haar ke
pahuñche the jo junūñ meñ sar-e-dār kyā hue
zindān-e-tīrgī meñ muqayyad haiñ aaj bhī
paidā hue the sub.h ke āsār kyā hue
'vijdān' āshiqī meñ gañvānī thī jaan bhī
pyāre vo tere taur vo atvār kyā hue