Ali Wijdan

hasin KHwab safar ke dikha gaya hai kaun

Ali Wijdan

hasīn ḳhvāb safar ke dikhā gayā hai kaun
badan meñ aag sī yaaro lagā gayā hai kaun
udaas raat meñ taare ubhar ke Duub ga.e
ye aaj bazm-e-tarab se chalā gayā hai kaun
paḌī huī thī jo banjar zamīn muddat se
hunar ke peḌ ye us meñ ugā gayā hai kaun
na ab ke mausam-e-gul kā bhī inkishāf huā
diye jalā ke ye āñkheñ bujhā gayā hai kaun
dil-o-nazar ke karishme na dekhte 'vijdān'
talab ye ishq kī dil meñ baḌhā gayā hai kaun
Top Urdushayar.com