mujhe ḳhvāb-e-sarāb-e-azāb diye mirī ruuh kā naġhma chhīn liyā
āshob-e-malāl ishrat-e-jāñ 'vijdān' se kyā kyā chhīn liyā
ik ranj-e-safar kī dhuul mire chehre pe gard-e-malāl huī
ik kaif jo sañgī sāthī thā us kaif kā saaya chhīn liyā
mire haath bhī zaḳhm-e-dil kī tarah maiñ TuuT gayā sāhil kī tarah
ai dard-e-ġham-e-hijrāñ tū ne kyā mujh ko diyā kyā chhīn liyā
in rañgoñ meñ mirā rañg bhī thā in bātoñ meñ mirī baat bhī thī
mirā rañg miTā mirī baat kaTī kis ne mirā rasta chhīn liyā
ai shahr-e-alam mirī baat to sun tū ḳhvāb mire vāpas kar de
maiñ terā karam lauTā dūñgā tū ne mirā chehra chhīn liyā
maiñ nauhagarī tak bhuul gayā mire log jale mire shahr luTe
is shahr-e-ma.īshat ne mujh se ehsās kā dariyā chhīn liyā
ye sūd-o-ziyāñ kī bāteñ haiñ in bātoñ meñ kyā rakkhā hai
ik ḳhvāb-e-tamannā de ke mujhe ik ḳhvāb-e-tamannā chhīn liyā