Charan Singh Bashar

sar uTha ke mat chaliye aaj ke zamane mein

Charan Singh Bashar

Punjab, India

1957
sar uThā ke mat chaliye aaj ke zamāne meñ
jaan jaatī rahtī hai hausla dikhāne meñ
kis se haq talab kiije bevafā zamāne meñ
hoñTh suukh jaate haiñ hāl-e-dil sunāne meñ
haath kī lakīroñ se faisle nahīñ hote
azm kā bhī hissa hai zindagī banāne meñ
kho ga.e kahāñ mere e.atibār ke rishte
kis ne bo diye kāñTe phuul se gharāne meñ
manziloñ kī bāteñ to ḳhvāb jaisī bāteñ haiñ
umr biit jaatī hai rāsta banāne meñ
ai 'bashar' mirī āñkheñ jugnuoñ kī aadī thiiñ
kis ne bijliyāñ rakh diiñ mere āshiyāne meñ
Top Urdushayar.com