fazā-e-ādamiyat ko sañvarne hī nahīñ dete
siyāsat-dāñ diloñ ke zaḳhm bharne hī nahīñ dete
zamāna vo bhī thā jab hādse kā Dar satātā thā
magar ab hādse logoñ ko Darne hī nahīñ dete
kuchh ham ne ḳhvāb aise paal rakkhe haiñ ki jo ham ko
haqīqat kī zamīñ par paañv rakhne hī nahīñ dete
ye maanā ishq se bantī hai jannat zindagī lekin
masā.il zindagī se ishq karne hī nahīñ dete
guzargāhoñ ke aage manzileñ āvāz detī haiñ
magar Thahre hue lamhe guzarne hī nahīñ dete
'bashar' be-rahm haiñ ye parbatoñ jaise usuul apne
kisī ke dil kī vaadī meñ utarne hī nahīñ dete