ek markaz pe simaT aa.ī hai saarī duniyā
ham tamāshā haiñ tamāshā.ī hai saarī duniyā
jashn hogā kisī ā.īna-sifat kā shāyad
sañg hāthoñ meñ uThā laa.ī hai saarī duniyā
vo ḳhudā to nahīñ lekin hai ḳhudā kā banda
jis kī āvāz se tharrā.ī hai saarī duniyā
vo bhī duniyā ke liye chhoḌ rahā hai mujh ko
maiñ ne jis ke liye Thukrā.ī hai saarī duniyā
kyuuñ nigāhoñ meñ khaTaktā hai nizām-e-qudrat
kyuuñ baġhāvat pe utar aa.ī hai saarī duniyā
maut ko dost banānā hī munāsib hai 'bashar'
zindagī kī to tamannā.ī hai saarī duniyā