ye kis muhim par chale the ham jis meñ rāste pur-ḳhatar na aa.e
hameñ navāzā na vahshatoñ ne hameñ junūñ ke hunar na aa.e
mujhe bahut tez dhuup darkār hai mohabbat ke is safar meñ
kabhī kahīñ sar pe saaya karne koī ghanerā shajar na aa.e
añdherī shab kā ye ḳhvāb-manzar mujhe ujāloñ se bhar rahā hai
to raat itnī tavīl ho jaa.e tā-qayāmat sahar na aa.e
jahāñ hoñ terī hī raunaqeñ aur tire nazāre hī chāroñ jānib
us anjuman kā patā batā de jahāñ se merī ḳhabar na aa.e
jo lauT aa.e koī safar se to phir musāfir kahāñ rahā vo
vahī musāfir hai jo safar meñ hai aur kabhī lauT kar na aa.e
vo āsmānoñ meñ rahne vaalā sunegā ik din tirī 'alīnā'
sadā ko apnī buland rakh tū duā meñ jab tak asar na aa.e