Aleena Itrat

mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun

Aleena Itrat

Bijnor, Uttar pradesh, India

mausam-e-gul par ḳhizāñ kā zor chal jaatā hai kyuuñ
har hasīñ manzar bahut jaldī badal jaatā hai kyuuñ
yuuñ andhere meñ dikhā kar raushnī kī ik jhalak
merī muTThī se har ik jugnū nikal jaatā hai kyuuñ
raushnī kā ik musāfir thak ke ghar aatā hai jab
to añdherā mere sūraj ko nigal jaatā hai kyuuñ
tere lafzoñ kī tapish se kyuuñ sulag uThtī hai jaañ
sard-mehrī se bhī terī dil ye jal jaatā hai kyuuñ
ab ke jab lauTegā vo to fāsla rakkheñge ham
ye irāda us ke aate hī badal jaatā hai kyuuñ
duur hai sūraj 'alīnā' phir bhī us kī dhuup se
barf kī chādar meñ lipTā tan pighal jaatā hai kyuuñ
Top Urdushayar.com