bagūla ban ke nāchtā huā ye tan guzar gayā
havā meñ der tak uḌā ġhubār aur bikhar gayā
hamārī miTTī jaane kaun zarra zarra kar gayā
baġhair shakl ye vajūd chaak par bikhar gayā
ye ruuh hasrat-e-vajūd kī baqā kā naam hai
badan na ho sakā jo ḳhvāb ruuh meñ Thahar gayā
ajab sī kashmakash tamām umr saath saath thī
rakhā jo ruuh kā bharam to jism merā mar gayā
har ek raah us ke vāste thī be-qarār aur
musāfir apnī dhun meñ manziloñ se bhī guzar gayā
uḌā dī raakh jism kī ḳhalā meñ duur duur jab
'alīnā' āsmānī nuur ruuh meñ utar gayā