ban gayā tadbīr se har rāsta taqdīr kā
ab nahīñ kuchh ḳhauf pairoñ ko kisī zanjīr kā
kar diyā ḳhāmosh sho.aloñ ne jalā kar har varaq
lafz phir bhī chīḳhtā ik rah gayā tahrīr kā
ḳhaak sargardāñ hai har sū kuchh nahīñ badlā yahāñ
dekhtī haiñ ab bhī rāheñ rāsta rahgīr kā
ek ruḳh par thiiñ bahāreñ ek ruḳh be-rañg-o-nūr
aur merī samt thā be-rañg ruḳh tasvīr kā
jab nishāne par mire dil ke sivā kuchh bhī na thā
phir asar hotā na kyuuñ terī nazar ke tiir kā
ham faqīrī meñ 'alīnā' shaad haiñ ābād haiñ
kyā hameñ karnā hai terī daulat-o-jāgīr kā