Aleena Itrat

bas najat-e-zindagi to ishq-e-ruhani mein hai

Aleena Itrat

Bijnor, Uttar pradesh, India

bas najāt-e-zindagī to ishq-e-rūhānī meñ hai
ye sazā-e-maut sun kar jism hairānī meñ hai
ret par phailā huā hai ḳhvāb jaisā ik sarāb
ḳhushk āñkhoñ kā sukūñ sahrā ke is paanī meñ hai
iztirābī kaifiyat hī is zamīñ kā hai nasīb
har ghaḌī gardish meñ hai har dam pareshānī meñ hai
kuchh ġhubār āñkhoñ tak aayā raaz ham par tab khulā
qāfila ab bhī koī is dil kī vīrānī meñ hai
phir kisī tūfān kī aamad kā andesha huā
phir qayāmat sī bapā dariyā kī tuġhyānī meñ hai
yūñhī āsānī se jiine kā irāda kar liyā
ye na dekhā kitnī mushkil aisī āsānī meñ hai
is qadar aurāq-e-māzī par chaḌhā gard-o-ġhubār
shāyad ab in kī jagah bahte hue paanī meñ hai
apnī miTTī se 'alīnā' ruuh kī ulfat to dekh
muztarib hai ye bahut gar tū pareshānī meñ hai
Top Urdushayar.com