ba.ad sūraj ke bhī ham ko zindagī achchhī lagī
shab kī fitrat meñ thī jo ik bekalī achchhī lagī
pahle pahle kuchh hirāsāñ se the ham tanhā.ī se
chāñd taare aa ga.e phir ḳhāmushī achchhī lagī
bandishoñ ko toḌne kī koshisheñ kartī huī
sar paTaktī lahr terī ājizī achchhī lagī
raat bhar shabnam ke hāthoñ ban-sañvar jaane ke ba.ad
phuul ke chehre pe bikhrī tāzgī achchhī lagī
us ke sheroñ meñ mohabbat ke sivā kuchh bhī na thā
par 'alīnā' ko yahī dīvāngī achchhī lagī