Kishwar Naheed

nazar to aa kabhi aankhon ki raushni ban kar

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
nazar to aa kabhī āñkhoñ kī raushnī ban kar
zamīn-e-ḳhushk ko sairāb kar namī ban kar
rachā huā hai tirī kam nīgāhiyoñ kā karam
nashe kī tarah mire dil meñ sarḳhushī ban kar
kabhī to aa sitam-e-jāñ-gusil hī dene ko
kabhī guzar unhī rāhoñ se ajnabī ban kar
ḳhushā ki aur milā ġham kā tāziyāna hameñ
ḳhushā vo dard jo chhāyā hai naġhmagī ban kar
huī na un se vafā tum se kyā huā 'nāhīd'
abhī talak jiye jaatī ho bāvlī ban kar
Top Urdushayar.com