Wali Mohammad Wali

fida-e-dilbar-e-rangin-ada hun

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
fidā-e-dilbar-e-rañgīñ-adā huuñ
shahīd-e-shāhid-e-gul-gūñ-qabā huuñ
har ik mah-rū ke milne kā nahīñ zauq
suḳhan ke āshnā kā āshnā huuñ
kiyā huuñ tark nargis kā tamāshā
talab-gār-e-nigāh-e-bā-hayā huuñ
na kar shamshād kī tārīf mujh paas
ki maiñ us sarv-qad kā mubtalā huuñ
kiyā maiñ arz us ḳhurshīd-rū suuñ
tū shāh-e-husn maiñ terā gadā huuñ
sadā rakhtā huuñ shauq us ke suḳhan kā
hamesha tishna-e-āb-e-baqā huuñ
qadam par us ke rakhtā huuñ sadā sar
'valī' ham-mashrab-e-rañg-e-hinā huuñ
Top Urdushayar.com