ḳhizāñ kī zard sī rañgat badal bhī saktī hai
bahār aane kī sūrat nikal bhī saktī hai
jalā ke sham.a ab uTh uTh ke dekhnā chhoḌo
vo zimmedārī se az-ḳhud pighal bhī saktī hai
hai shart sub.h ke raste se ho ke shaam aa.e
to raat us ko sahar meñ badal bhī saktī hai
zarā sambhal ke jalānā aqīdatoñ ke charāġh
bhaḌak na jaa.eñ ki masnad ye jal bhī saktī hai
abhī to chaak pe jaarī hai raqs miTTī kā
abhī kumhār kī niyyat badal bhī saktī hai
ye āftāb se kah do ki fāsla rakkhe
tapish se barf kī dīvār gal bhī saktī hai
tire na aane kī tashrīh kuchh zarūrī nahīñ
ki tere aate hī duniyā badal bhī saktī hai
koī zarūrī nahīñ vo hī dil ko shaad kare
'alīnā' aap tabī.at bahal bhī saktī hai