junūñ meñ dāman-e-dil garche taar taar huā
magar ye jashn sar-e-kūcha-e-bahār huā
har ek sajde meñ dil ko tirā ḳhayāl aayā
ye ik gunāh ibādat meñ baar baar huā
sameT lī haiñ mohabbat ne saarī parvāzeñ
dil-o-dimāġh meñ kaisā ye intishār huā
nahīñ bujhāyā havāoñ ne pahlī baar charāġh
ye sāneha to mire saath baar baar huā
kisī ke vāste tasvīr-e-intizār the ham
vo aa gayā pa kahāñ ḳhatm intizār huā
añdherī shab ke muqaddar meñ ik saverā thā
ye raaz mujh pe dam-e-sub.h āshkār huā
jo tujh meñ Duub ke dekhā to pā liyā ḳhud ko
'alīnā' yuuñ mirā phir mujh pe iḳhtiyār huā