gūñjtī vaadī meñ āvāz abhī baaqī hai
taar TuuTe haiñ to kyā saaz abhī baaqī hai
phir zamīñ khīñch rahī hai mujhe apnī jānib
maiñ rukūñ kaise ki parvāz abhī baaqī hai
maut se pahle mirī maut ko likhne vaale
mere anjām kā āġhāz abhī baaqī hai
tū idhar hai ki nahīñ itnā batā de mujh ko
saare parde uThe par raaz abhī baaqī hai
vaqt ne gard kiyā phuul se chehroñ kā jamāl
par adā baaqī hai andāz abhī baaqī hai