Wali Mohammad Wali

dekhna har subh tujh ruKHsar ka

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
dekhnā har sub.h tujh ruḳhsār kā
hai mutāla matla-e-anvār kā
bulbul o parvāna karnā dil ke ta.iiñ
kaam hai tujh chehra-e-gul-nār kā
sub.h terā dars paayā thā sanam
shauq-e-dil mohtāj hai takrār kā
maah ke siine upar ai sham.a-rū
daaġh hai tujh husn kī jhalkār kā
dil kuuñ detā hai hamāre pech-o-tāb
pech tere turra-e-tarrār kā
jo sunyā tere dahan suuñ yak bachan
bhed paayā nusḳha-e-asrār kā
chāhtā hai is jahāñ meñ gar bahisht
jā tamāshā dekh us ruḳhsār kā
aarsī ke haath suuñ Dartā hai ḳhat
chor kuuñ hai ḳhauf chaukīdār kā
sar-kashī ātish-mizājī hai sabab
nāsehoñ ko garmi-e-bāzār kā
ai 'valī' kyuuñ sun sake nāseh kī baat
jo divānā hai parī-ruḳhsār kā
Top Urdushayar.com