Wali Mohammad Wali

bhaDke hai dil ki aatish tujh neh ki hawa sun

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
bhaḌke hai dil kī ātish tujh neh kī havā suuñ
sho.ala namat jalā dil tujh husn-e-sho.ala-zā suuñ
gul ke charāġh gul ho yak baar jhaḌ paḌeñ sab
mujh aah kī hikāyat boleñ agar sabā suuñ
niklī hai jast kar kar har sañg-dil suuñ ātish
chaqmāq jab palak kī jhāḌā hai tuuñ adā suuñ
sajda badal rakhe sar sar-tā-qadam araq ho
tujh bā-hayā ke pag par aa kar hinā hayā suuñ
yaañ dard hai param kā behūda sar kahe mat
ye baat sun 'valī' kī jā kar kaho davā suuñ
Top Urdushayar.com