maqām apnā duniyā meñ zīshān rakh
jo nazroñ se tole vo mīzān rakh
muhib tū ḳhudā kā hai ḳhālis ġhalat
habīb-e-ḳhudā pe bhī īmān rakh
nā-umīdī faqat kufr-o-ilhād hai
agar tū hai momin to īqān rakh
taḳhayyul bhī ḳhud kā taġhazzul meñ ho
baġhal meñ kisī kā na dīvān rakh
ḳhudā koī DhūñDe to miltā bhī hai
tajassus to apnā pareshān rakh