iltijā hai ijz-o-usrat kun-fakānī aur hai
guftugū-e-be-samar mojiz-bayānī aur hai
qarya-e-momin pe hamla kar to pahle soch le
ye ilāqa muḳhtalif ye rājdhānī aur hai
har adālat likh chukī hai faisla to kyā huā
faisla baaqī abhī ik āsmānī aur hai
kuchh na kah kar bhī sadāqat baap kī manvā ga.e
asġhar-e-be-shīr terī be-zabānī aur hai
ek misra.a kah ke 'ābid' ḳhud ko na shā.er samajh
shusta ġhazleñ haiñ kujā aur lan-tarānī aur hai