Abid Kazmi

na ho hayat ka hasil to bandagi kya hai

Abid Kazmi

1958
na ho hayāt kā hāsil to bandagī kyā hai
jo be-niyāz ho sajdoñ se zindagī kyā hai
sadā-bahār chaman meñ bhī gar nasheman ho
tire baġhair jo guzre vo zindagī kyā hai
ḳhudā ko maan ke ḳhud ko ḳhudā samajhtā hai
anā-parastī sarāsar hai bandagī kyā hai
bas ham kamāl samajhte hai jiite rahne ko
ye karbalā ne batāyā ki zindagī kyā hai
vo jo faqīr sifat ḳhud ko kahtā phirtā hai
qabā harīr kī pahne hai sādgī kyā hai
Top Urdushayar.com