Satyapal Janbaz

KHun-e-dil se rah-e-hasti ko farozan kar len

Satyapal Janbaz

1934
ḳhūn-e-dil se rah-e-hastī ko farozāñ kar leñ
mo'atabar aur bhī ham jashn-e-gulistāñ kar leñ
daur par daur chale jaam ko raqsāñ kar leñ
dostoñ aao ilāj-e-ġham-e-daurāñ kar leñ
ik na.e rañg se taz.īn-e-gulistāñ kar leñ
laakh ho daur-e-ḳhizāñ jashn-e-bahārāñ kar leñ
phir na chhaT jaa.eñ kahīñ rañj-o-mehan ke bādal
apnī zulfoñ ko zarā aap pareshāñ kar leñ
sham.a phir hasrat-o-armān kī raushan kar ke
chand lamhoñ ko sahī jashn-e-charāġhāñ kar leñ
justujū aur na.ī bahr-e-husūl-e-manzil
apnī raftār sū-e-ḳhār-e-muġhīlāñ kar leñ
ġham-e-daurāñ ko ai 'jāñbāz' bhulāne ke liye
aao maiḳhāne meñ tafrīh kā sāmāñ kar leñ
Top Urdushayar.com