Satyapal Janbaz

saqi ki har nigah mein sahba thi jam tha

Satyapal Janbaz

1934
saaqī kī har nigāh meñ sahbā thī jaam thā
kal shaġhl-e-mai-kashī kā hameñ izn-e-ām thā
ham kushta-e-ḳhizāñ sahī ai dosto magar
āsūda-e-bahār hamārā hī naam thā
mere baġhair aaj vo kitne haiñ shādmāñ
jin ko mire firāq meñ jiinā harām thā
dekhā jo mai-kade meñ use aur baḌh gayā
merī nazar meñ shaiḳh kā jo ehtirām thā
ham be-niyāziyoñ kā gilā tujh se kyā kareñ
ai dost apnā jazba-e-ulfat hī ḳhaam thā
un se nazar milī ki na.ī zindagī milī
un kī nigāh-e-nāz meñ kaisā payām thā
dār-o-rasan ko chuum ke qurbān ho gayā
'jāñbāz' bil-yaqīn ye terā hī kaam thā
Top Urdushayar.com